(Click PIcture-in-Picture Mode for Shorter Screen)
LYRICS
mai har jagah pe tere piche tera saya hoon chehre ko dekh tere apne gham bhulane aaya hoon sab kehte hain tujhe chhoo ke hawa kar deti deewana tere jism ki mehakti khushboo ko churaane aaya hoon
tu sun rahi hai kya meri ankahi baatein? kash hote aise shabd jisse hum tujhe batate taare bhi hain sar jhukate teri chaandni ke aage phoolon mein aajati tazgi jab bhi tu muskura de
tujhe khabar nahi kitni haseen hai tu noor-e-nazar, nazar na lage afreen hai tu jo mujhe sunte meri likhne ki tareef karein par likhna bhool jaata jab mere kareeb hai tu sambhaloon kaise khud ko bhala mujhe tu bata de jisme ho tujhse zyada nasha jaam wo pila de teri gali mein chalte aashiq apna sar jhuka ke aur jis gali mein tera zikr na ho wo bata de
Advertisement
mujhe teri aankhon ne maara hua hai dil mera haara hua hai chup jaate jaake kahin chal dushman zamaana hua hai aankhon ne maara hua hai dil mera haara hua hai chup jaate jaake kahin chal dushman zamaana hua hai
ADVERTISEMENT
tu maujza hai khuda ka noor hai tu ye mera dil hai tera ghar wahan mehfooz hai tu agar main jhoot kahoon dekhun na kisi ko tere siwa par har jagah tera chehra toh kya karoon, majboor main
tu door rehke paas par tu door kar ye faasle chur ho ke yaadon mein teri hum tanha jaagte jism se tere lipta rahoon bas hamesha kash main lakeere tujh tak na jaati wo mita raha hoon haath se
tu justuju hai, dil ki murad hai tu khwaahish hai kab tak legi bata mohabbat ki azmaishein ye kehte mohabbat mein dhoonda karte nahi faayde hum loot chuke hain ab tere aage kuch bhi na dikhai de
ae zaalim kabhi toh mujhe pyaar ki nigah se dekh kasam khuda ki tujhpe zindagi luta denge gamon ki shaam hogi, toh tujhe hasa denge hum gham tere chura lenge
mujhe teri aankhon ne maara hua hai dil mera haara hua hai chup jaate jaake kahin chal dushman zamaana hua hai aankhon ne maara hua hai dil mera haara hua hai chup jaate jaake kahin chal dushman zamaana hua hai